Hawa Se Raakh Mein Sulgi Umang Urrti Hai Poem by Farzana akhtar

Hawa Se Raakh Mein Sulgi Umang Urrti Hai

Rating: 5.0


Hawa se raakh mein sulgi umang urrti hai
Khayaal mein koi rangeen patang urrti hai

Paron ko khol chuke hain judaee ke lamhe
Phir eik titli ki khwahish ke dang urrti hai

Bachaon phool ke chehre ko teiz nazron se
Ke dhoop saath liye shokkh rang urrti hai

Sajaey dheir shagufta shagufta baton ke
Kabhi kabhi koi dil mein umang urrti hai

Ajab rawaeya hai naina meri sadaon ka
Ke taan jaisey sar-e-taar-e-chang urrti hai

COMMENTS OF THE POEM
Akhtar Jawad 20 September 2014

A beautiful ghazal, words are pearls and thoughts are deep like an ocean.

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success