Ganga Poem by ramesh rai

Ganga

Rating: 5.0


GANGA
SUKH KE SAGAR KO SAMETE
BAHATI HAI YEH NIRMAL DHARA
TRILOCHAN KI JATA SE NIKLI
AMRIT KALASH CHHALKAAATI HAI
RISHI MUNIYON KA ABHISHEK HAI KARTI
BAHATI HAI APNI GATI SE
PYAASON KO HAI PYAAS BUJHAATI
NADI NAALON KO SICHTI
KHETON AUR MUDERO SE HOKAR
AATI HAI JAB SAMTAL PAR
MIL JAATE HAI KITNE SAATHI
SABKO APNE UR MEIN BAITHATI
VIRAH VEDNA MITATI
GRAM GRAM SE GUJAR GUJAR KAR
PANHUNCHI TUM KOLAHAL MEIN
YAHAAN KIYA NIHAL SABHI KO
APNE DAMAN KO FAILAKAR
KITNA ASHBHYA HAI SAHARI MANAV
TERE GAURAVA KO N PAHCHAANA
PHIR BHI MAILA HUA N AANCHAL
SUKH SAMRIDHI KA GEET GAATE
KAPIL MUNI KE AASHRAM SE HO
MIL GAYEE MAHASAAGAR MEIN
HO SAKE PHIR SE AANA
TUM MERE GHAR MEIN.

COMMENTS OF THE POEM
Sharad Juneja 20 April 2012

Very nice beautiful..... class apart

0 0 Reply
Veeraiyah Subbulakshmi 15 April 2012

I do agree with unwritten soul, as I do not understand Hindi.

0 0 Reply
Unwritten Soul 13 April 2012

Hindi.I am not understand but Ganga i know what it is....i dont know what it means as much i dont know how ganga flows from but i know it is like a paradise flow for Indian, and i know the meaning must be so good enough as Ganga flow it magic in your writing too... :) _Unwritten Soul

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success