Ek Lafz Ek Rishta Poem by Bano Ali

Ek Lafz Ek Rishta

Rating: 5.0


Namukammal thi mukammal mujhe karne walo,
Bas isi lafz ki khatir hui aurat paida,
Warna kahti mere malik mujhe aurat na bana,
Teri dunya mein to aurat na rahe gi zindah,
Tu to khud dekh raha ho ga ke dunya mein teri,
Ek samane tayyush ke siwa kutch bhi nahin,
Chori hoti hay kabhi aur kabhi dakon mein luti,
Sirf bazar nahin ghar mein bhi bikte dekha,
Larkharate hue dekha ise girte dekha,
Aur gir gir ke har ek gam pe uthte dekhe,
Aag ke sholon mein zindah ise jalte dekha, ,
Maine tezab mein aurat ko pighalte dekha,
Ek ilzam pe sangsar hui hay aurat,
Aur deewar mein zinda ise chunte dekha,
Aaj bhi khoon ubalta hay jahan per aurat,
Zindah dafnai gai jurm tha aurat hona,
Abto paida nahin hoti hay ke qatil iske,
Usse pehle hi sula deta hayn ek maut ke neend,
Keya karoon mujhko mukammal bhi to hona tha kabhi,
Bas isi lafz ki khatir main hui thi paida,
Mere bacho mujhe ma'n keh ke bulane walo.

Tuesday, September 16, 2014
Topic(s) of this poem: mother
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
To become a mother is a divine desire.
COMMENTS OF THE POEM
M Asim Nehal 28 October 2015

Kya baat hai, meri bhi ek nazm hai Aurat pe waqt milta toh zaroor padhna usse....10

0 0 Reply
Rajnish Manga 29 November 2014

This is one of the most significant poem I have ever read about the wretchedness of a woman in our society. Hypocrisy can be seen everywhere. Following lines can act as an eye opener: Aag ke sholon mein zindah ise jalte dekha, , Maine tezab mein aurat ko pighalte dekha, Ek ilzam pe sangsar hui hay aurat, Aur deewar mein zinda ise chunte dekha,

1 0 Reply
Ramesh Rai 18 September 2014

Most impressive write. Loved it.

2 0 Reply
Akhtar Jawad 16 September 2014

A very impressive and heart touching write.

3 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success