Bhikri Zulfein Poem by Shrini Deewana

Bhikri Zulfein



Bhikri zulfein kya lagti hai chehare mein teri,
Yun lagta hai jaise kaali ghata chaayee hai asmaan mein abhi,
Zulfon ko yun hi bhikre rehane do use theek na karo,
Khoobsoorati bad jaati hai jab girti hai lat aankhon mein teri,

Tere zulfon ko choone ke tamanna hai mere dil mein,
Tere zulfon ki mehak ko mehasoos karna chahoon mein,
Jab bhi udasi satati hai mere dil ko,
Tere zulfon ke saaye mein sona chahoon mein.

Khuli zulfein teri madhosh kar deti hai mujhko sanam,
Banke koi phool tere zulfon mein savarna chahoon mein,
Badi mudaat hui hai sanam chookar tujhko,
Tere chehare ko apne haathon mein lena chahoon mein.

SHRINI 'DEEWANA'

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success