Bebaasi Poem by Shrini Deewana

Bebaasi



Ek duje se itne door hokar bhi hum kitne paas hai,
Itne paas hokar bhi milne ko dil mein ek aas hai,
Bin baatein kiye har pal dil mein ek pyaas si hoti hai,
Kya isi tadap ko log dilon ki bebasi kehate hai.

Mera dil hai tujh mein aur tera dil hai mujh mein lekin,
Dil ek duje mein hokar bhi ek becahini si hai har pal chin,
Tujhe na dekhoon ek roz to bas ro padtha hai yeh dil mera,
Kya isi tadap ko log dilon ki bebasi kehate hai tu mujhko bata.

Ab mein yeh soch bhi nahin sakta yeh jeevan tujh bin kya hoti,
Dil mein har pal ek tadap aur ek aag si jalti hi rehati hai,
Har pal chahat hai tujhe milne ki aur tujhe bahon mein bharne ki tamanna hai ab is dil mein,
Kya isi tadap ko log dilon ki bebasi kehate hai ab tu hi mujh ko bata.


Mera jeevan hua safal jis pal aayee tu jeevan mein mere humsafar bankar,
Tujhe dekhe bagair nahin hai jaana is duniya se mera dil yehi kehati hai,
Kya dil ke is tadap ko hi log dilon ke bebasi kehate hai.

Shrini 'Deewana'

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success