(bhakti Geet) - Maatr Geet Poem by Prabodh Soni

(bhakti Geet) - Maatr Geet

hai maa jab tum gaati ho,
gungunati ho geet jab wo,
tumhe hai priye sada se jo

mohit kar deta hai hum sabko
jhumne ko majboor kar deta hai
kush hota hai antar man sab
shant ho jate hai hridady,
vichar, vivek aur man tarang sab

bus ek prem ras bahta hai
upar se niche tak
roop rang ang pratyang tak
bus bhar deta hai man khusi tarng sab

mita deta hai dukh dard
daridra man beymani aur lachari ko
nirlipt nivikalp samadhi tak
le jata hai hame sang apne wo

hai maa jab tum gaati ho
gungunati ho geet jab wo
tumhe hai priya sada se jo

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success