Andekha Pyar… Poem by Harmeet Saluja

Andekha Pyar…

Rating: 5.0

Nikala tha main ghar se sochkar,
Ki jeet aaunga pyar uska paakar,
Tab na ye socha ki pyar koi mazak nahi,
Na socha ki ye koi khel nahim
Bas dikh raha tha uske liye apna pyar,
Kya pata tha do tarfa hota hai pyar,
Shayad junoon tha ye mera pyar,
Jisne suna nahi uska inkar,
Bas nikal gaya main kehkar,
Ki mujhe ho gaya hai pyar….

Nikal raha hu ab main apne ghar ko,
Ankho me aansu leke do,
Rakha tha jise dil me sajake,
Use uske pyar se milake,
Khabar nahi kya khushi milli mujhe,
Na ye aandaza hai kya dard mila mujhe,
Bas itna pata hai ki di main ne use wo khushi,
Jisko wo manti hai apni khushi,
Shayad isse hi andekha pyar kehte hai,
Jali aag me behti mom kehte hai,
Khud ki khushi ka na sochkar,
Apne pyar ki Khushi ke liye gum lena haskar…

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Harmeet Saluja

Harmeet Saluja

Ahmedabad, Gujarat, India
Close
Error Success