Babul Poem by Harmeet Saluja

Babul



Jigar ke tukde ko dur tum karoge kaise,
Bin uske tum jiyoge kaise,
Wo jab jayegi to apne aansu ko tum rokoge kaise,
Apne jigar ke tukde ko kisiko sopoge kaise,
Uske aansu dekh tum aasman utha lete ho,
Uski khushi ke liye tum gamo ka bojh utha lete ho,
Phir ab khushi se uski vidaii tum karoge kaise,
Bin uske ab tum jiyoge kaise,
Harpal tumhe uska khayal rehata hai,
Harpal tumhare dil uske paas rehata hai,
To ab apne dil ko tum samjaoge kaise,
Apni ladli ko tum bhulaooge kaise...

Zindagi aansuo ki ladi hai,
Jitni kam kari utni hi bhadi hai,
Ye samaja lena kisi tarah tum apne aapko,
Mana lena kisi tarah tum apne aapko,
Vida kar dena use khushi se tum,
Aasu bhi na gir ne dena apni aankh se tum,
Bhula dena tum use uske pati ke liye,
Chod dena tum use uski zindagi jine ke liye,
Jab dekhe wo to has dena tum use dekh kar,
Taki wo tumhe bhula de ek sapna samaj kar,
Phir apni tanhaiiyo ko kar lena tum kabul,
Vida kar dena use banke ek acche tum babul...

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Harmeet Saluja

Harmeet Saluja

Ahmedabad, Gujarat, India
Close
Error Success