Al-Rahman Poem by Akhtar Jawad

Al-Rahman

Rating: 5.0


Shak ki ismein keya gunjaish hota agar na woh Rahman,
Paida karta keyun woh tujhko nazil karta keyun quraan,
Tujhko keyun goyai deta keyun woh deta tujhko jan,
Mitti ke ek dher ki unchi kardi hay Gabrael se shan,
Chand aur sooraj ki gardish ki uske dam se hay gardan,
Patta patta boota boota apne Rab ka kare bakhan,
Arsh ko uncha kar ke usne rakh dee hay usmein meezan,
Take uske nazm-o-nasakh mein paida na ho ho kutch bohran,
Tu bhi nap aur tol mein apne qaim rakha kar iman,
Sona jaisi sunder dharti tere data ka hay dan,
Jisse paida hui khajoorein ghallah jiska hay vardan,
Bhoosa tere janwaron ka teri khatir hay rehan,
Har soo bikhra mile ga tujhko apne Malik ka faizan,
Uski kis kis niymat ko tu jhutlaey ga aiy insan.

Aag se jo jinnat banaye mitti se yeh jism-0-jan,
Mashriq maghrib har soo chalta tere Malik ka farman,
Meetha pani khara pani dono ka sagar asthan,
Jinse nikle kaise kaise chamkeeley lulu marjan,
Bare bare bajron ko dekho parbat jaisi unki shan,
Dharti ho akash ho sab per tere Malik ka ehsan,
Jab chahe ga gul karde ga maya ka yeh deep puran,
Baqi bacha rah jae ga lekin tera woh nirgun Bhagwan,
Sabka Malik sabka Data sabko woh deta hay dan,
Har pal bas masroof hi rahna jiski hay yeh aan aur shan,
Char dinon ki bat hay khudko farigh kar le ga Rahman,
Us din dast-e-ghaib mei uske dekhe ga tu ek meezan,
Tu hay uska agar to tujhko mil jaye ga phir nirwan,
Uski kis kis niymat ko tu jhutlaey ga aiy insan.

Tere bas mein ho to chala ja aur kahin kar le asthan,
Lekin in seemaon ke bahr ja na sake ga bin Sultan,
Aag ke sholon aur dhooen se dono ka ho ga apman,
Chahe tu jinnat ho papi chahe tu ho ek insan,
Khoon ke jaisa ho jaye ga neela yeh yeh aakash mahan,
Tujhse tere pap na poochey jaen ge aiy nafarman,
Kala chehra neeli aankhen teri hogi yeh pehchan,
Sar ke bal aur paon pakar kar tujhko aiy jin aiy insan,
Kholti dozah ke pani mein phenka jaega jaega nadan,
Jisko tu jhutlata tha ab dekh yehi hay woh asthan,
Jeena hay ab ismein tujhko maut hui tujhse anjan,
Kholta pani isi jagah ka tujhko karna hoga pan,
Illa yeh ke bakhsh de tujhko kisi wajah se woh Rahman,
Uski kis kis niymat ko tu jhutlaey ga aiy insan.

Aur jo apne Rab se darne wala hoga aiy insan,
Ek nahin do bagh karega tujhko tera data dan,
Thande chashme meethe meve jin baghon ki hogi shan,
Ek nahin do quismein hongi mevon ki yeh hogo shan,
Narm mulayam bistar takeye resham jaisa hay asthan,
Bagh mein dosheezayen achooti tere Rab ka hay vardan,
Aisi sunder aisi komal jinpar kaliyan hon qurban,
Samne hon yaqoot bhi pheeke, pheeke par jaen marjan,
Kutch bhi nahin ehsan ka badla hay jo agar to bas ehsan,
Jannat mein kam neki wale bhi to hon ge kutch insan,
Unke liye bhi bagh hayn lekin thori kam hay unki shan,
Waisey ismein bhi nehrein hayn, meve, khajoorein aur rumman,
Gori rangat wali hoorein kheme jinke hayn asthan,
Uski kis kis niymat ko tu jhutlaey ga aiy insan.

(CAUTION; THIS IS NOT A TRANSLATION, but this is based on Surat-ul-Rahman)

Saturday, May 24, 2014
Topic(s) of this poem: god
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Based on a verse 'Soorat-ul-Rahman' from Holy Quraan
COMMENTS OF THE POEM
Khalida Bano Ali 10 January 2017

A great poem based on Holy Quran's Surat Al-Rahman.

0 0 Reply
Aftab Alam Khursheed 23 October 2014

Attaractive- How long ye will deny- I am sending, I am calling-Those who borne must die..How long ye will deny my Existence- you tried elaborately and beautifully Glory to be Allah

1 0 Reply
Ramesh Rai 28 May 2014

extreme beautiful.love it.

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success