Ab Mere Sath Jo Hona Hay Woh Ho Hi Jaye Poem by Bano Ali

Ab Mere Sath Jo Hona Hay Woh Ho Hi Jaye

Rating: 5.0

Bat nikli hay to yeh bat bhi ho hi jaye,
Mil nahin sakta agar koi to kho hi jaye.
Dhoondh sakta nahin sahil to chalo yun hi sahi,
Nakhuda ab meri kishti ko dubo hi jaye.
Arzoo ab koi jeeney ki na marne ka koi gham,
Jagne wali tere hijr mein so hi jaye.
Sans ki dor mein moti ko pirone wala,
Aaj un ashkon se daman ko bhigo hi jaye.
Isne dekha tujhe is dil mein utara tujhko,
Ab bhatakti hay teri rahon mein kho hi jaye.
Ab tere bad koi sadma bahot zeyada nahin,
Ab mere sath jo hona hay woh ho hi jaye.

Sunday, July 6, 2014
Topic(s) of this poem: love
COMMENTS OF THE POEM
M Asim Nehal 30 September 2015

Awesome Ghazal, Your are too good in this format, please post some more ghazals. Dhoondh sakta nahin sahil to chalo yun hi sahi, Nakhuda ab meri kishti ko dubo hi jaye. A philosophical touch and divinity I see in these lines....

1 0 Reply
Akhtar Jawad 06 July 2014

a nice and lovely Ghazal.

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success