Aao Chaand Mein Ghar Basaye Poem by Shrini Deewana

Aao Chaand Mein Ghar Basaye

Mohabbat mein to kehate hai sab mein tod laoonga chand bhi,
Lekin mein kehata hoon sanam chalo hum ghar basaye chaand mein,
Socho zara kaisa hoga woh aalam jab chaand mein hoga apna ghar,
Jahan koi na ho dushman mohabbat ke aur na humko kisi ka hai darr.

Sochta hoon mein sanam kaisa hoga apna ghar chaand mein,
Jahan par honge sirf mein aur tum aur koi na honge humein taakne,
Socho zara kaisa hoga woh alam jab rahenge hum ek duje ke baahon mein,
Kaisa hoga sanam woh alam jahan honge na koi dushman pyaar ke.

Duniya ke liye to aati hai mahine mein ek din amavas ki raat bhi,
Lekin sanam hamare jeevan mein phir kabhi amavas ki raat hi na aayegi,
Har raat apne hogi punam ki jab humtum madhosh ho jayenge,
Bas ek duje ke baahon mein lete hum prem ke geet gun gunayenge.

Socho zara kya sochenge duniya wale jab woh dekhenge chand ko ek chand mein,
Chand bhi sharma jaayegi sanam dekh kar chand sa mukda tera,
Taare sab kehate rahenge na jaane kahan chali gayee hamare roshni,
Roshni hamari ghum ho gayee hai jab se chand mein aayee hai chand si ek pari.

Humko abhi na zarurat hai holi ki na zarurat hai humein diwali ki,
Bas agar zarurat hai kisi ki to woh hai ek duje ke saat ki,
Jab tum rahoge saath mere har din hogi mere holi aur diwali ki,
Bas sanam tera saath jo mile to mein samjhoonga meri kismat khil gayee.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success