Thakur Jain

Thakur Jain Poems

Kabhi pura naa ho wo khawab hai ISHQ

Raate suni kar de wo baat hai ISHQ
kabhi subah na ho jiski wo raat hai ISHQ
...

Unko dekha to, dekhta reh gaya
Kya kahu aur kehne ko kya reh gaya

Aisa khoya unki baato ke jaal me-
...

Wo so gyi hai, humko jaga kar
Raat ke andhiyare me
Chand ke ujiyale me
Wo so gyi hai, humko jaga kar
...

Sab kuch badal gaya, par yaade nahi badli yaar
Sab kuch badal gaya, par dil me rehne wali nahi badli yaar

Rimjhim barsaat me sath, bhigne wali yaade
...

The Best Poem Of Thakur Jain

Kabhi Pura Naa Ho Wo Khwab Hai Ishq

Kabhi pura naa ho wo khawab hai ISHQ

Raate suni kar de wo baat hai ISHQ
kabhi subah na ho jiski wo raat hai ISHQ
Ruk ruk ke barasti rhe wo barsaat hai ISHQ
Chhodne se na chute wo hath hai ISHQ

Kabhi pura naa ho wo khwab hai ISHQ

Zara si khushi ka umar bhar saaz hai ISHQ
Jisse parda na uth ske wo raaz hai ISHQ
Paas reh ke bhi rahe dur, dur reh ke bhi rahe paas, wo ahsaas hai ISHQ
Kadwa hai phir bhi mazaa de wo swaad hai ISHQ

Kabhi pura naa ho wo khawab hai ISHQ

Bujhaaye na bujhe wo aag hai ISHQ
Saatve aasman pe pahucha de wo thath hai ISHQ
Bayaan naa ho sake wo jazbaat hai ISHQ
Jawaab naa ho jinke wo sawalaat hai ISHQ

Kabhi pura naa ho wo khawab hai ISHQ

Ujaala khatam naa ho jiska wo chirag hai ISHQ
Bina mile ho jaye wo mulakaat hai ISHQ
Do logo ki alag kaynat h ISHQ
Do logo ki alag kaynat h ISHQ

Kabhi pura na ho wo khawab hai ISHQ

Thakur Jain Comments

Thakur Jain Popularity

Thakur Jain Popularity

Close
Error Success