Unko Dekha To Dekhta Reh Gaya Poem by Thakur Jain

Unko Dekha To Dekhta Reh Gaya

Rating: 5.0

Unko dekha to, dekhta reh gaya
Kya kahu aur kehne ko kya reh gaya

Aisa khoya unki baato ke jaal me-
Besud, bekhabar, lapataa reh gaya
Unko dekha to, dekhta reh gaya

Unhone ankho se kya keh diya mujhe-
Mann mera, jhumta, nachtaa reh gaya
Unko dekha to, dekhta reh gaya

Unki zulfo ki gataye chhai mujhpe aisi-
Dhup me, bhi saaye, ka aasraaa reh gaya
Unko dekha to, dekhta reh gaya

Khud ko paya jo unki baho me mene-
Simat_ta, sikudta, machaltaa reh gaya
Unko dekha to, dekhta reh gaya

Unhone adao se aisa tadpaya mujhe-
Unhe pane ki aag me khud ko jhoktaa reh gaya
Unko dekha to, dekhta reh gaya

Unke khawabo me aane se ronak aisi hui-
Khwabo me, zindgi, gujartaa reh gaya
Unko dekha to, dekhta reh gaya

Friday, January 9, 2015
Topic(s) of this poem: love and art
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Inspired from jagjit singh's ghazal aapko dekh kar dekhta reh gaya
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Thakur Jain

Thakur Jain

Udaipur
Close
Error Success