Saima Kanwal

Saima Kanwal Poems

Apni bigri hui baatoN ko banaana seekho
Bujh bhi jaayeiN to chiraaghoN ko jalaana seekho
Dekhna ghair sitam tum pe kare ga phir se
Koi takleef ho dushman se nibhaana seekho
...

Dar band ho chuke haiN mohabbat ke baab ke
Hum muntazir haiN aaj bhi tere jawab ke
Manzil na ban sake ga wo hum ko thi ye khabr
Dil bhaagta tha kyuN bhala peeche saraab ke
...

Tire waaste hi sitam gar rahi hooN
Humesha se main tere dar par rahi hooN

Samajhta hai kyuN mujh ko pather sanam tu
...

Hum ko bhi chaahat thi bohat
Tum meiN bhi jur´at thi bohat

Hum ne kiya tum par yaqeeN
...

The Best Poem Of Saima Kanwal

Apni Bigri Hui Baaton Ko, ... (Ghazl)

Apni bigri hui baatoN ko banaana seekho
Bujh bhi jaayeiN to chiraaghoN ko jalaana seekho
Dekhna ghair sitam tum pe kare ga phir se
Koi takleef ho dushman se nibhaana seekho

Tum bhi jhuk jaao samar daar shajar ki soorat
Garmi e dil se phal o phooL bhi pakaana seekho
Tum kahiN kaanta, kahiN pather, aur kankar rakh kar
Apne haathoN se har ik zakhm sajaana seekho

Waqt ke saath chalo, rah bhatak kar dekho
Behte paani ki taraH khud ko bahaana seekho
Ban ke sandal to jalo tum bhi miri jaan e kaNwal
Aaj mehfil meiN mehak chod ke jaana seekho

Saima Kanwal Comments

Saima Kanwal Popularity

Saima Kanwal Popularity

Close
Error Success