Apni Bigri Hui Baaton Ko, ... (Ghazl) Poem by Saima Kanwal

Apni Bigri Hui Baaton Ko, ... (Ghazl)

Apni bigri hui baatoN ko banaana seekho
Bujh bhi jaayeiN to chiraaghoN ko jalaana seekho
Dekhna ghair sitam tum pe kare ga phir se
Koi takleef ho dushman se nibhaana seekho

Tum bhi jhuk jaao samar daar shajar ki soorat
Garmi e dil se phal o phooL bhi pakaana seekho
Tum kahiN kaanta, kahiN pather, aur kankar rakh kar
Apne haathoN se har ik zakhm sajaana seekho

Waqt ke saath chalo, rah bhatak kar dekho
Behte paani ki taraH khud ko bahaana seekho
Ban ke sandal to jalo tum bhi miri jaan e kaNwal
Aaj mehfil meiN mehak chod ke jaana seekho

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success