Zindagi Poem by Aashima Singh

Zindagi



Kyoon har mod par ek sawal
samane la deti hai zindagi
kyoon har shaam ke baad sawera
sawere ke baadd shaam aur
andhera hi andhera samane laa deti hai zindagi
mana har sawal ka jawab hota hai
har andhere ki roshani aur shaam ka sawera hota hai
par yehi janane samajhane mein umar saari gujar jati hai
aakhir haasil hota hai kya
yehi samajh hi paati nahi zindagi.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success