Aisa Nahin Ki Koshish Nahi Ki Poem by Aashima Singh

Aisa Nahin Ki Koshish Nahi Ki



Har saans par tera nam likha hai maine
har hansi par tera naam likha hai maine
har pal yaad kiya hai maine
har pal bhulaya hai maine
Aisa nahi ki koshish nahin ki
par kya batoon jitana bhulaya
usssey jyada toot ke yaad kiya hai maine
kuchh paaya nahi phir bhi sab kho diya hai maine
bas ummedein bachi hain yaadein bachi hain
lamhein bache hain raastey bachey hain
kyoon har mod pe dil palat jaata hai
kyoon har aahat pe machal jaata hai
aisa nahi ki koshish nahin ki
har dua mein tujhe maanga hai maine
har raat ke baad har subah ka intezaar kiya hai maine
kaash! kuchh naya hoga, kuchh achha hoga
kuchh to mere dil ke mutabik hoga
aas tooti nahi hai
aisa nahin ki koshish nahin ki
har aansoon ko piya hai har dard ko chhupaya hai maine
dil ko manaya hai behlaya hai maine
par koi bhi baat dil samajh paya nahi hai
toh khud ko bharosa dilaya hai maine
aisa nahi hai ki koshish nahi ki
tere faisale ko mana nahi hai maine
par kya batoon tune mujhe uske siwa koi doosara raasta dikhaya nahi hai
kya tere faisale ko mann loon, to kya tu khush hoga
to jaa aaj tere faisale par sir jhukaya hai maine
nahi isko meri haar na samajh ya mera ikrar na samajh
bas kya bataoon teri khushi par marne ka irada banaya hai maine
teri khushi par toot ke bikhar jaane ka irada banaya hai maine
aisa nahin ki koshish nahin ki...
har koshish mukammal ho...........
.......shayad ye zaruri to nahin.

COMMENTS OF THE POEM
Vijay Gupta 22 February 2008

tumhari baat ka zawab nahi........thanks

0 0 Reply

Aaj apnay ghata top andheri mein ihsas hua aik aur sayay ka roshni ka saman na sahi tanhai ko katnay ka tezab tu hay thanx n hugs rehan

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success