Aashima Singh

Aashima Singh Poems

Har saans par tera nam likha hai maine
har hansi par tera naam likha hai maine
har pal yaad kiya hai maine
har pal bhulaya hai maine
...

Aankhon mein shararat
honthon pe hasin
har ishare ko bhaanp lena
baaton mein baat samajh lena
...

3.

Dosti karna samajhate hain sab zaruri
hai sabko ek dost ki chahat, magar
jaanate nahi maane dosti ke
dost ko bhulate kaam nikal jaane ke baad,
...

4.

When i see rain I smile
When i see flowers I smile
When i see kids playing I smile
When something gud happens I smile
...

5.

Kuchh Lamhe yaadein bankar zindagi ko mehkatein hain
Kuchh lamhe hain jo zindagi bhar yaad aatey hain
In lamhon mein hum zindagi jee letey hain
Inhi lamhon mein zindagi guzarane ka faisala kar jaatey hain
...

Aaj unse milkar laga yun ki
milein ho sadiyon baad jaise hum
lekin is beech bhi jaise bahut kareeb the
hum tum ek duje ke
...

Socha tha unse ab na milenge hum
par kya karein jhalak paane ko bhi taras jaatein hain ab to
aawaaz sunkar baichaini badhati hai aise ki
jhalak paane ko taras jaateyin hain hum
...

Kyoon har mod par ek sawal
samane la deti hai zindagi
kyoon har shaam ke baad sawera
sawere ke baadd shaam aur
...

waqt badal jaata hai
raastey badal jaatey hain
log badal jaatey hain
rishtey badal jaatey hain
...

kuchh hasaraton ko raastein miltey hain,
kuchh chahton ko manzilein milti hain,
kuchh yaadon ko sahara milta hai,
...

pyaari si muskaan
pyara sa chehra
pyaari si aankhein
pyaari pyaari baatein
...

umeed......: Mana manzil bahut mushkil hai
raasta bhi aasan nahi
saath humara hai
ghabrana nahin
...

o pyaari mayna
aise hi chahkte rehna
bade chanchal hain tere do naina
jyada kaam mat karna
...

The Best Poem Of Aashima Singh

Aisa Nahin Ki Koshish Nahi Ki

Har saans par tera nam likha hai maine
har hansi par tera naam likha hai maine
har pal yaad kiya hai maine
har pal bhulaya hai maine
Aisa nahi ki koshish nahin ki
par kya batoon jitana bhulaya
usssey jyada toot ke yaad kiya hai maine
kuchh paaya nahi phir bhi sab kho diya hai maine
bas ummedein bachi hain yaadein bachi hain
lamhein bache hain raastey bachey hain
kyoon har mod pe dil palat jaata hai
kyoon har aahat pe machal jaata hai
aisa nahi ki koshish nahin ki
har dua mein tujhe maanga hai maine
har raat ke baad har subah ka intezaar kiya hai maine
kaash! kuchh naya hoga, kuchh achha hoga
kuchh to mere dil ke mutabik hoga
aas tooti nahi hai
aisa nahin ki koshish nahin ki
har aansoon ko piya hai har dard ko chhupaya hai maine
dil ko manaya hai behlaya hai maine
par koi bhi baat dil samajh paya nahi hai
toh khud ko bharosa dilaya hai maine
aisa nahi hai ki koshish nahi ki
tere faisale ko mana nahi hai maine
par kya batoon tune mujhe uske siwa koi doosara raasta dikhaya nahi hai
kya tere faisale ko mann loon, to kya tu khush hoga
to jaa aaj tere faisale par sir jhukaya hai maine
nahi isko meri haar na samajh ya mera ikrar na samajh
bas kya bataoon teri khushi par marne ka irada banaya hai maine
teri khushi par toot ke bikhar jaane ka irada banaya hai maine
aisa nahin ki koshish nahin ki...
har koshish mukammal ho...........
.......shayad ye zaruri to nahin.

Aashima Singh Comments

The roadside artist 23 March 2020

Words🖤 soch,🖤

0 0 Reply

Aashima Singh Popularity

Aashima Singh Popularity

Close
Error Success