Zindagi Ki Sacchai Poem by chayanika saha

Zindagi Ki Sacchai

Rating: 4.8

koi jeenay ki wajah do mujhe
sans lene ki panah do mujhe
sikha do mujhe is zindagi ko jeena
hans hans k gam kay aansuo ko peena
kaise hai ye duniya k taur tarike
kyon muje lagta hai sab berang or feekay
aiye kudrat samjha day tu mujhko yeh jahan
jahan khul kay hansu or kahun
haan meri zindagi hai yahan
mat kara tu mujhe ehsaas
ki mai hu dharti ka bhoj
na khol mere tu aise raaz
dukhi kare jo mujhko roz
wo dil dhadakne ki awaz toh suna
jo bhula day mujhko mera rona
chinta satati hai jo kal ki
khushiyan mitati hai wo is pal ki
koi jeenay ki wajah do mujhe
ssans lene ki panah do mujhe
sikha do mujhe is zindagi ko jeena
hana hans kay gam kay aansuo ko peena

Sunday, August 31, 2014
Topic(s) of this poem: sadness
COMMENTS OF THE POEM
Jazib Kamalvi 12 October 2017

A refined poetic imagination, Chayanika. You may like to read my poem, Love And Lust. Thank you.

1 0 Reply
Chayanika Saha 24 October 2017

Thankyou So much Sir. I will definitely like to read your mentioned poem also :)

0 0
Akhtar Jawad 31 August 2014

Dil ki gahraeeon se nikli hui is awaz mein aysa dard hay dilion ko choo leta hay, yeh kavita bahut pasand aaee.

1 0 Reply
Chayanika Saha 24 October 2017

Bhut Bhut dhanyavad Sir

0 0
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success