Zindagi Poem by AYUSH RANSINGH

Zindagi

kal hi to meine sikha tha chalna,
jana duniya ki aadat hai badalna,
phir do pal me ye kya badal gaya?
shayad zimme-dariyo ka jaadu chal gaya.

kaha hai vo pal jinhe hum jiya karte,
Masumiyat bhari masti me khud ko meila kiya karte,
Aaj humare bhavishya ki taiyariyo me guzarte,
Aaj kabhi bhavishya tha, bhavishya kabhi kal hoga, ye kyu bhul jate?
Kash vo haseen pal phir se jee pate...

Kyu na hum mehnat ko apna bhagwan banayein,
Sapno ko haqikat me tab-dil karayein,
Dil aur dimag ki safai apne karya me dikhlayein,
khud par bharosa karne ka vishwas jagayein,
Aao kuch alag kar jaayein...

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success