Ye Chaman Na Ho Ye Gulishtaa.N Na Ho Poem by Mohammad Sahil Raza

Ye Chaman Na Ho Ye Gulishtaa.N Na Ho

Ye chaman na ho, ye gulishtaa.n na ho
Ab is diwaane ka koi imteha.n na ho


Wo to mere dil ko todate chale gaye
Na ho sine me dil to ye zahaa.n na ho


Ya rab ye dua rafaakat-e-aasaar le le
Gar mohabbat ho zamaane me to koi bewafa na ho


Ek bewatan mushaafir hu saba ke saath chalata hu
Na ho watan kisi ka to aasiya.n na ho


Kyu mile the hame yu bichadane ke liye
Nafarat ho dil me to raabata na ho


Ye hunar ja keh de us jahaa.n aafari se
Gar diwaane hai paamaal to ye sama na ho


Wo aaye hai tere dehleez per sarmshaar ho kar sahil
Na thi tab mohabbat to baaraha.n na ho

Sunday, November 2, 2014
Topic(s) of this poem: sad
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
fell alone
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Mohammad Sahil Raza

Mohammad Sahil Raza

Madhya Perdesh india
Close
Error Success