Woh Kya Hui Teri Chahatein Poem by Ayan Ali Dar

Woh Kya Hui Teri Chahatein

Woh zoq shoq woh mastiya,
woh aah meri woh tishnagi
Har rang mein me dhal Gaya
Mere yaar tu kitna badal Gaya
Me beh chuka har Aankh se
Dil se na kabhi tu beh sakha
Na milli wafa teri Aor se
Kitna tha me sudhar chuka
Teri Raah se kab ka guzar Gaya
Mudh ke Ek baar Dekh lo
Me Tehar Tehar ke har gaam par
Tera naam se, anjaam se
Sada ki har Aan se
Tu apni Ana na Badal sakha
Me Raat Raat bilak uthun
Kyn Sath Tu Na De sakha
Woh ehwaal kya, kya tha maajira
Kyn kabhi na tu mujhse Keh sakha
Mera Rom Rom hain Nidhaal Ab
Tu Kabhi na Mujhko Samajh Sakha
Woh kya hui Teri chahatein
Woh Dillagi woh Taergi
Woh saare chirag bhuj Gaye
Jis pal tu mujhe chor Gayi
Me ussi pal me bikhar Gaya
Na simat sakha kisi hath se
Na behal sakha kisi baat se
Na sada koei sunai de
Na Justuju Na koei aarizo
Teri Deed Ho Ab phir kabhi
Me chalta Gaya na tehar sakha
Meri Jaan ye kya tu kar Gayi
Tu khush-numa sabzaar hain
Bichad ke tu to khil uthi
Ayan Me Wahi Bikhar ke Marr Gaya

Wednesday, March 22, 2017
Topic(s) of this poem: beautiful,sacred heart,sacrifice,sad,sad love,sea,soul mate
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success