Humein apna ke thukrana kaha ki reet hai dilbar,
bhatak jao ge tanha rasto'n mein ki humsafar zarori hai,
tumhein baharo se fizao se nazaro se mohabbat hai,
yu ulfat k ashakbaaro ki himayat bhi zarori hai,
na mai khankaho ka talib, masaratt be'khabr humse,
hain roothi zindagi mujhse to manana bhi zarori hai,
hai aaraish tumse hi rukbat aur adawat bhi,
yaha gir gir ke log sambltey hain sahare bhi zarori hai,
mujhe azad karna tha, mujhe barbaad karna tha,
kiye jo ahed-e-wafa tum ne nibhana bhi zarori hai,
mai bhatka aisa rahi hu mujhe raston ne yu sataya hai,
pal pal kismat pe apni roya hu ajal-tera aana ab zarori hai,
aqeedat kyn kare koei masroof har fard jo hai,
ayan sambhal jao sudhar jao musibat bi zarori hai...
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem