Tu Kitni Ajib H Maa Poem by rohit patel

Tu Kitni Ajib H Maa

Maa, tu sach me kitni ajib h
bachpn me unliya chhodkr chlna
sikhana,
girne pr jldi se pakdana,
Aur phir apne aap ko hi kosna,
Phir na chhodne ka apne se hi
vada krna,
Maa, bina ungaliya chhode mai
chalunga kaise,
Logo ke sath khada ho paunga
kaise.
Maa, tu sach me ajib h...

Dusro ki lgti hone pr bhi mujhe
hi datna,
Mn ko mar kr bs kahte rhna,
Glti meri pr sorry apka kahna,
Aur bde pyar se mujhe smjhna,
Maa, bina gltiyo ke mai shikhunga
kaise,
Aapke bina hi unse ladunga kaise.
Maa tu sach me ajib h...

Mere samne mujhe bahar bhejne
ki taiyary krna
Papa se pass vle college ke liye
kahna
Man na hote huye bhi dur jane ko
kahna
Milne aayenge bs yhi dilasa dena
Maa, dur jaunga nhi to kuch
krunga kaise
Badlte vkt me kuch paunga kaise.
Maa, tu sch me ajib h...

Vaps aane pr jldi aane ko kahna
Darvje pr nigahe jamaye rkhna
Har br ek roti ka bad jana
Disto ka kuch alg h kahna
pr tera vhi dailouge phir se kahna
Tu kitna patla ho gya h
Maa khaya nhi to ab tk jiunga
kaise
Tere pass milne aaunga kaise
Maa tu sach me ajib h...

Maa, tu bs mere liye ajiv h
Yu to mai kuch nhi
pr ek tu hi mere sbse kriv h
Maa, , , , tu itni ajib kyo h? ? ? ? ?

Tuesday, May 20, 2014
Topic(s) of this poem: love
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
for my loving mom
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success