Sarhadh Kyon Banaya Poem by Shrini Deewana

Sarhadh Kyon Banaya

Duniya ko hisson mein baata hai kisne,
Duniya mein sarhadh banaya hai kisne,
Panchi ki to nahin hai koi sarhadh jahan mein,
To insaanon ko sarhadhon par baata hai kisne.

Suno duniyawalon yeh duniya hai bahut choti,
Is choti si duniya ko na baato tum sarhadhon pe,
Jana ho Japan ya Cheen ya phir America,
Koi lamba safar nahin hai koi is duniya mein.

Phir is chote se safar ko khon baata sarhadhon par,
Aur kyon hai kiya alag duniya ke har mulkon ko,
Kyon banayee hai itne niyam oh duniyawaalon,
Kya zaroorat hai Visa aur in niyamon ki.

Sabse lamba safar woh safar hai duniyawalon,
Jisme na koi niyam hai na zaroorat koi visa ki,
Yeh safar to paar hoti hai bas chaar kandhon par,
Aur tere chitha ki agan se yeh safar hai aage bad rahi.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success