Ranchi Geet... Poem by Tapashya Das Sinha

Ranchi Geet...

Rating: 2.8


Ranchi sa shahar koi bataye,
Aao JOHAR kare
Sab sheesh jhukaye…
Yaha
Sur bhi sur milaye,
Mera shahar, meri geet,
Gaye chale jaye…

Prakrutik sundarta ka farsh,
Jise,
BHAGWAN BIRSA MUNDA ke gaurav ne,
Kiya sparsh,
Aisa hai mere Ranchi ka
Harsh…

Suraj nikle karke
Sunhera savera,
Cham-cham, chamke,
SWARNREKHA ka kinara…
Aaj v,
Jaha hai base,
Kavi guru RABINDRANATH TAGORE ka dil,
Koi bhule kaise,
TAGORE HILL…
Mahakaye Ranchi ka aangan,
Fulon se ladi RAJ BHAWAN…
Chahake man,
Dekh NAKSHATRA VAN…
Chalo saath kare
MACHLI GHAR ka bhraman…

Haaye! ! !
Kya nazara
DHURWA DAM,
Kitni rangeen
KANKE DAM! ! !

Jaha DHONI ne apne bachpan bitaye,
Wahi itihas
JAGANNATH, PAHADI BABA, aur RAM MANDIR ke,
Katha sunaye…
To kahi
SIDDHU-KANHU man me romanch bhar de jaye…

Aisa hai KANKE KA ASPATAL,
Jo swasth karde,
bigde PAGALON ki haal…
Uff! ! !
Ye hawa ke jhoke,
BADA TALAB kinare
Kadam roke…
Chote bacche ho ke begane
Hai SCIENCE-CITY, FUN-CASTLE, ROCK-GARDEN ke diwane…

Shahar ki shaan,
Sundar,
Ayetihasik,
MORABADI MAIDAN…
Ye hai RANCHI meri jaan! ! !

Ranchi sa shahar koi bataye,
Aao JOHAR kare
Sab sheesh jhukaye…
Yaha
Sur bhi sur milaye,
Mera shahar, meri geet,
Gaye chale jaye…

COMMENTS OF THE POEM
Suman Kumar Das 07 December 2013

So loving lines...................keep it up Dear! .............................checkout mine!

2 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success