Ek Dard-E-Dil Ki Kahani… Poem by Tapashya Das Sinha

Ek Dard-E-Dil Ki Kahani…

Rating: 5.0


Dard hi dard chupa hota hai ek chote se dil me,
Angeenat kantee chubhe hote hai ek chote se dil me,
Aksar har jati hai zindegi, ye keh kar;
'aaj zinda to hoon
Per tere khoon ke aansuyon me behekar…'
Kiss se sifarish kare ye dil,
Kiss se dard bayan kare ye dil,
Hai anjaan ye dunaya
Hai apne bhi anjaan,
Har rishsta lage besahara aur benaam…
Bandh hai aaj ye dil us gam k pinjere mein
Jaha se koi use nikal nahi sakta,
Bol rahi hai aap hi wo khamoshi mein;
'aaj dard k sagar mein doobna chahti hu
Hai aur kitna dard uske geherai mein
Aaj sare dard kismet k mai peena chahti hu,
Bus hai guzarish us uparwale se,
Zinda rakhna is chote se dhadakte huye dil ko
Kyu ki aaj aazmana hai khud ko,
Dekhna hai kitna pani hai tere sagar k paimano mein,
Jo duba de is dil ko,
Dekhna hai kitni aag hai tere suraj ke angaaron mein,
Jo jalade is dil ko,
Aye uparwale kya khatam karoge aap is chote se dil ko? ? ?
Hai itni aag is dil me hi
Ki khud ko jala du! ! !
Hai itni aansu is dil me hi
Ki khud ko dubo du! ! !
Na ban itna beraham mujhse tu,
Ki ek din mai khud ko hi mita du! ! !

Monday, June 16, 2014
Topic(s) of this poem: love hurts
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success