Mere Yaadon Ki Kavitayen... Poem by Tapashya Das Sinha

Mere Yaadon Ki Kavitayen...

Rating: 2.8


Meri yaadon ki kavitayen,
Hai ye wo kavitayen
Jo mere dil ki har wo kahani bataye.
Mere yaadon ki kavitayen
Bil bole wo sab kuch kehe jaye…
Wo yaaden;
Jo kabhi gam
To kabhi khushi jataye,
Hai ye wo yaaden;
Jo bin bulaye khub saataye…
In kavitaon me
Apne khwab bunti hoon,
Bandh nigaahon se
Bus inhi kavitaaon ke lafz sunti hoon…
Hai ye kavitayen mere,
Hai mere yaadon ke panne
Likha hai har wo baat,
Jo thi mere man me…
Meri kavitayen leti hai saanse
Un yaadon ke sahare
Na hai aanjan meri kavitayen
Kya kehe rahi hai ye wadiyaan ye baharen…
Yaad karti hoon mai un yaadon ko
In kavitaon ke sahare
Jeeti hoon apni zindegi
Yaadon ki kavitaon ke kinare…
Sunti hoon mai har wo baat,
Jo duniya mujhse keheti hai
Per likhti hai ye kalam meri
Jo mera dil use keheti hai…

Kya khoob hai ye yaadon ki daastan,
Bada hi dilchasp
In yaadon ka raasta…
Yaaden to wo daastan hai
Jo zubaan bayan nahi karti,
Yaaden to wo raasten hai
Jo muda nahi karti,
Yaaden to bus wo haasen yaaden hai
Jinko yaaden khud
Bhulaya nahi karti…
Aye… zalim yaaden,
Tu hamesha yaad kyu ati hai?
Ye teri beinteha yaaden mujhe jeene nahi deti hai…
Aagar mar jaau kabhi
Teri inhi yaadon me doob kar,
To kya kabhi yehi yaaden karengi mujhe yaad?
Sab kuch bhul kar…
Hai to ye kavitayen meri,
Jisne mujhko kavi banaya,
Per hai sirf wo yaaden teri,
Jisne ye kavitayen banaye…
Hai ye kavitayen meri
Per inme basi hai mohabbat teri,
Hai to ye kalam meri,
Per chalti hai bus khayalon me teri,
In panktiyon me to alfaz hai mere,
Per in kavitaon ke bhavnao me hai lafz sirf tere…
Teri yaaden meri kavitaaon me base,
Jo rahe tu khush
To mere akshar aap hi haanse…
Tere gam meri kavitaaon ko khamosh kar jaye,
Tere saanson ki harqat,
In kavitaaon me saanse bhad jaye…
Bin tere mai kavi kaise banti,
Tere hi kahani se shuru hai meri har ek pankti…

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success