Phool Or Kaante 2 Poem by Miss Praghyanjali Pal

Phool Or Kaante 2

Phoolon ka ras, kaanton ka dard, panapte hai ek hi saath
Jaise hote hai manav or danav ke ek hi nath
Danav det hai kaanto ka dard, hoti hai phool va manav ki ek hi jaat
Ek kiran karti hai roashan, ek chingari karti hai barbaad

Phoolon ka ras, kaanto ka dard, panapte hai ek hi saath
Hota hai sundar, phir bhi abhimaan zara bhi nahi aat
Moh ke man doojo ka, sugandhit karke murjhae va jhad jaat
Chad ke sahidon per, swayam sahid ki tarah amar ho jaat

Phoolo ka ras kaanto ka dard panapte hai ek hi saath
Manav va danav ka hai sadiyon ka saath
Phool ugaane hai humko, kaante bhi aa gaye to kya baat
banna hai phool humko, karni hai utpann manav jaat

Phoolon ka ras kaanton ka dard panapte hai ek hi saath
Sansar ki leek se hatkar, lekar brahmastra
Kante bante hai hazaron, phool banta hai ekadh
Phool nyochawar hota hai phool per, hota hai vahi uska nath

Wednesday, August 27, 2014
Topic(s) of this poem: ART
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success