Pehchaan..(In Hindi) Poem by SINGH SINGH

Pehchaan..(In Hindi)

Rating: 4.3


Nek ne Nek aur Bure ne Bura jana mujhe,
Jiski jaise fitrat thi, usne utna pehchanna mujhe.

Fark na padta agar vo bura hi jante mujhe-2,
Seh hum yeh na paye ki, nek kehne k baad bura unhonae mana mujhe.

Badalta to mausam tha, par badal vo insaan gaye,
Jiski jaise fitrat thi, vo waisa mujhe pehchaan gaye……..

Kaash badalte mausam k sath, mein bhi badal jata,
Nek ko bura aur bure ko nek keh pata.

Yun to kehne se kuch nai badalta,
Warna mein sab se pehle khud ko badalta…..
Mausam to aaj bhi badal raha hai,
Par yeh masoom dil aaj bhi unhe nek samajh raha hai,

Mein iss bewakoof dil ko kaise samjhau,
Ki vo nek ko bura, aur bure ko nek maan chuke hai,
Unki jaise fitrat thi, waisa vo pehchaan chuke hai……….

Yeh pehchaan to mein badal nai paunga,
Par ek din unhe jarur bhula jaunga.

Yaad to tab bhi mein unhe kia karunga,
Par fark sirf yeh hoga ki, ab unhe bura waqt samajh lia karunga.

Eh khuda ab sirf mujhe ussi se milana,
Jo nek ko nek aur bure ko bura jane,
Tab tak bhale hi mujhe koi na pehchaane…….. 

TILL THEN: JAA CHUDAIL….. GO TO HELL……………

COMMENTS OF THE POEM
vinay singh 27 January 2018

superb....sir.. beautiful lines...

0 0 Reply
sasmitarani nayak 12 January 2018

very nice poem

0 0 Reply
sasmitarani nayak 12 January 2018

very nice poem

0 0 Reply
M Asim Nehal 22 December 2015

Badhiya kavita hai...Sahi dil dukha hai is liye ye naam diya hai....

1 0 Reply
T Singh 22 December 2011

Dedicated to all the CHUDAILS of the WORLD!

3 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
SINGH SINGH

SINGH SINGH

INDIA (Kanpur)
Close
Error Success