Mat Bhoolna Poem by Siddharth Tripathi

Mat Bhoolna



Kya tum bhool gae
mai abhi jinda hu
kya tum sab kuch bhool gae
tumhare, mere aur humare baare me

kya tumne galti ki thi?
mujhe apna bana ke
kya tum bhool gae
hum kya the, kitne kareeb the

kai jagah pe hum galat the
lekin fir bhi tha,
apne pan ka ehsaas
saath hone ka ehsaas

tum kabhi nahi bhool sakte
wo sab jo tha humaare beech
jo sapne humne soche the
jo yaaden humne sanjogi hai

humare paas sab kuch tha
hum bohat kareeb the
har had ko paar kia
lekin aaj kya hai
bas tanha pal, aur akela pan

mai nahi bhool sakta
mai nahi bhool paaunga
kisi bhi lamhe ko
kisi bhi eahsaas ko
jo kuch tha humaare beech

ab mai kya kahu
kya kahne ke laayak bacha hu
kahne ko bhi kya bacha hai
bas yahi, mat bhoolna mujhe
mat bhoolna hume, humaare riste ko

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success