Logo Ko Dubane Ka Mohabbat Ek Zariya Hai.... Poem by Abhishek Omprakash Mishra

Logo Ko Dubane Ka Mohabbat Ek Zariya Hai....

Rating: 4.0

Ye Din kaise katenge, hum tumhe kuch keh nahi sakte.
ye dil ke dard ko tanha ek pal bhi seh nahi sakte
Ki Behte hai hazaro log teri chahat ke samandar me
Tujhe Pane ki khawahish hai magar, Hum bah Nahi Sakte


Ki Mushkil hai zamane me kisi ke pyar ko pana..
Unhe apna bana lena Unhi ke khud bhi Ho jana
Khaoge Mohabbat me Hazaro Thokrein tum bhi…
kisi thokar ke lagte hi Magar tum Kho nahi jana


ye chahat aur mohabbat to dilon ka ek dhokha hai
do pal me dilon ko jod de ye wo jharokha hai
dilo se khelte hai log yaha katein chubho kar ke…
Mohabbat fir bhi katre hai, ye Rishta hi Anokha hai


Mohabbat to dilo ko todne ka ek zariya hai
dil dafnaye jate hai ye aisa ek dariya hai
doobay hai karoron log anokhen iss dariya me
logo ko Dubane ka mohabbat ek Zariya hai

Tuesday, July 8, 2014
Topic(s) of this poem: love and pain
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Guzarish
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success