Pm Narendra Modi Poem by Abhishek Omprakash Mishra

Pm Narendra Modi

Waqt jo tham sa gaya tha, uski Aahat Sun
Ashk jo jam sa gaya tha, uski Aahat sun
Dhara par garajne fir se lagi hai singh ki lalkar
''MODI'' Aa gaya hai Hind me, Uski Aahat Sun...! ! !

Pahiya waqt ka fir se naya hai, uski Aahat sun
Zamana Zushat-Zu ka ab gaya hai, Uski Aahat sun
Jo ab tak sochte the bach gaye hum sasural ke dukh se
Lo unka bhi bulawa agaya hai, Uski Aahat sun...! ! !

Safar jo shesh tha wo Tay hua hai, uski Aahat sun
Surya ka Tez jisme lay hua hai, uski Aahat Sun
Lagta tha jinhe Modi to pal bhar ki hi Aandhi hai..
Ab Samoocha Vishwa MODI May hua hai, Uski Aahat Sun...! ! !

Ojashwi Surya Nabh me chadh raha hai, uski Aahat sun
Jagat me Tiranga Badh raha hai, uski Aahat sun
Sakal Ritu Chakra ke Nayak, Pratapi RAM Raja ka
Amit Ashish Hum par Padh raha hai, Uski Aahat Sun...! ! !

Sapne PAK ke Sab jal chuke hai, Uski Aahat Sun
Apne AAP ke ab pal chuke hai, Uski Aahat Sun
Jinhone Loot rakkha tha Khazana Hind Walon ka
Zamane Unke jaise Dhal chuke hai, Uski Aahat Sun...! ! !

Friday, October 3, 2014
Topic(s) of this poem: love and pain
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Modi Modi
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success