Kuch Bakee Hai Poem by adil khan

Kuch Bakee Hai

ek phool lagaya tha
barson pehle mene bhee guldan main.
na phool raha na guldan raha.
fir ye mehak kyo bakee hai.

hara har bazee par bazee,
chatee kootee, matha thoka.
jab jeet nahee to,
ye ek kasak kyo bakee hai.

apne ghar me reh kar he,
barso khud se anjan raha.
main zinda tha ya dafn yahain,
meri ruh ko shak baakee hai.

ye dunia -duniya,
karte karte.
mene dunia ko dekh liya

is duniya ko thukrane ka kyo,
mera haq ab bhee bakee hai

2-7-2007 =our friendship day

COMMENTS OF THE POEM
*Aishwarya. P* 24 February 2007

Nice poem.I was able to under stand only little.As i know hindi a little. ash

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success