Kismat Hoti Hai Buri Jab Poem by Ahatisham Alam

Kismat Hoti Hai Buri Jab



Kismat hoti hai buri jab
To drwaaze taqdir ke
Khud ba khud band ho jate hain
Dil me jage huye tamannao ke tufaan na jane kyu uth-te hain
Aur fir so jate hain


Kismat hoti hai buri jab
To rahe gulshan me bhi
Jane kaise kaante bo jate hain
Mahfil me khushiyon ki jo
Armaano se mala bnti hai
Usme gham ke moti puro jate hain.


Kismat hoti hai buri jab
To khamosh samandr me tufan uth-te hain aur kashti dubo jate hain,
Paas to hoti hai manzil bahot
Par us tak pahuchne ke raste kho jate hain.


Kismat hoti hai buri jab
To aarzuon ki jagah gham ke dariya snjo jate hain
Taqdir me jo sukh likhe hon
Gham ki barish me wo sukh bhi dho jate hain.

Saturday, November 1, 2014
Topic(s) of this poem: life
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success