Mai aur meri kamana
dono sath sath chalte
kamana mar jaati hai
par mai nahi marata
ek sadhana se jura hun
ek kamana se jura hun
sadhana aur kamana dono sagi bahne hai
sadhana
kamana bin nahi hoti
kamana
sadhana bin nahi hoti
dono ek dusre ke purak hai
koi kamana karta hai
koi sadhana karta hai
koi nitya aaradhana hi
karta hai
koi nitya pratarana hi
karta hai
hamara aur tumhara milan
jo kabhi astya tha
satya hi patwaar thaa.
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem