Ishq Ka Dariya Poem by Shrini Deewana

Ishq Ka Dariya

Kehate hai ke Ishq ek dariya hai,
Jo Bhale Bhalon ko doobati hai,
Hum to sanam unme se hai,
Jo tairna tak nahin jaante hai.

Jab se tujhe dekha hai maine sanam,
Raaton ki neendh aur din ke chain kho chuke hai hum,
Apni dil ki haalaat mein tumhein bataoon kaise,
Jo jazbaat dil mein dabi hai use tumahare saamne mein laaoon kaise.

Itne mahinon ke saath ke baad aaj tumne yeh sawaal kiya tumhein mujse Ishq kyon hai,
Tere is sawaal ka mein jawaab kaise doon sanam tu hi mere jaan tu hi mere justjoo hai,
Mere dil mein jo basi hai woh tasveer tu hai,
mere dhadakte hue dil ki aahat tu hai,
Tuj bin to jeevan ab na jee sakoonga,
Abhi kabhi na poocho sanam ke Mujhe tumse Ishq kyon hai.

Shrini 'Deewana'

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success