Hindi Ko Mat Bhoolo Bhai (Hindi) Poem by Veer Dhiman

Hindi Ko Mat Bhoolo Bhai (Hindi)



Dekho sun lo yeh sachchai,
Hindi ko mat bhoolo bhai.

Sanskrit ki beti hai Hindi,
Bharatmata ki yeh bindi,
Rajbhasha kehlati Hindi,
Rashtrabhasha kehlati Hindi.


Dekho sun lo yeh sachchai,
Hindi ko mat bhoolo bhai.

'Pant' or 'Bachchan' the anuyayi,
Hindi mein thi sanrachna bhai,
Jabse hai angrezi aayi,
Hindi hui begaani bhai.


Dekho sun lo yeh sachchai,
Hindi ko mat bhoolo bhai.

Saral, sabhya or meethi hai Hindi,
Van mein khile fool hain Hindi,
Nadiyon ki kalkal hai Hindi,
Himalayon ka taaj hai Hindi.


Dekho sun lo yeh sachchai,
Hindi ko mat bhoolo bhai.

Sunday, September 11, 2016
Topic(s) of this poem: inspirational
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success