Guzarish Poem by soulful heart

Guzarish

Rating: 5.0


Justajoo kabhi hamne ki
To ye sawaal zahan me aaya,
Ya Allah-
Tune jab mujhe mitti me dhala
To mujhme sabse aziz kya chaha?
Tujhe gar kuch pesh karun
To kya karun?
Mera rang?
Par rang to woh, jo dhub me jal jata hai;
To tujhe kaise pesh karun?
Mere aankh?
Par aankh to woh, jo umar dar dhoond pad jata hai;
To tujhe kaise pesh karun?
Mera dil?
Par dil to woh, jo vasvason me ghira rahta hai;
To tujhe kaise pesh karun?
Mera koi ang?
Par ang ka har purza to woh, jo bimaar ho jata hai;
To tujhe kaise pesh karun?

Phir inteha-e-sonch me
Zindagi ka falsafa khola,
To har jazbaaat loot ta nazar aaya;
Har mod kashmakash me dooba zazar aaya;
Har adaa makkaar nazar aaya.
Bas ek shay sabse pak
Aur shiddat se qayam nazar aaya
Jo na kabhi ghata, na bimar hua, na dhoond pada;
Jo kabhi khushiyon ke jharnon sa aaya;
To kabhi junoon ke barf sa aaya;
Kabhi zillat ke sholon sa aaya;
To kabhi dard ke sailaab sa aaya.
Par jab bhi aaya, Khalis jazbaat leke aaya.
Ye baazun jab bhi tere dua me uthe
Ye mere saath saath har dam aaya.

Isse umdi cheese mujhse tu kya chahe?
Le, Ya Allah-
Ye mere aansu hi tujhe pesh kardu.

Friday, June 27, 2014
Topic(s) of this poem: prayer
COMMENTS OF THE POEM
Md Asadullah 10 August 2014

A person who remembers Allah in seclusion and his eyes are then flooded with tears will be shaded by Allah by His Shadow the Day of Resurrection when there will be no shade except His Shade. Very nice composition, thanks for sharing :)

0 0 Reply
Akhtar Jawad 29 July 2014

Aansoo nahin yeh motin hayn ek shayer ke ehsasat ka tarjuman hayn aur Allah ayse motion ki qadr karta hay.

0 0 Reply
S.zaynab Kamoonpuri 27 July 2014

Wah sabse pak jazbat wala aansoon hi nazar ata hay. Ye nikhalas wale boondh. Zabardast shairi, kya shairana andaz shaira! Eid mubarak wishes, soon.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success