Gunehagaar Hoon Mein Poem by Shrini Deewana

Gunehagaar Hoon Mein



Yaad aati hai sanam jab bhi mujhe kal ki beeti baatein,
Aankh bhar aati hai yeh sochkar dil dukhayoon mein tera,
Dil dukhane ki sanam koi chaha nahin thi mere dil mein,
Yeh to bas waqt ka takaza tha jo mein bolta hi gaya.

Dil dukhaya hoon mein tera hoon mein gunehagaar tera,
Khud se karke door humein itni badi saza na tum dena sanam,
Hum to tadpenge hi par kya nahin tadpega sanam dil tera,
Dil ki tadap to bas mitegi ek duje ke hi baahon mein sanam.

Dil to mera hai par is dil mein dhadakti hui dhadkan ho tum,
Hoke juda tujhse ai sanam nahin kabhi jee payenge hum,
Paya hoon pyaar jabse aayee ho tum jeevan mein mere,
Ab to jeevan bhar mein yunhi rahoonga sanam sang tere.

Aaj tune yeh keha diya ke nahin milne aana tum mujhko,
Tujhe mile bina hum chain se na jee payenge sanam,
Kehana aasan hai sanam tum milne nahin aana mujhko,
Zindagi meri ab to judi hai tere hi saanson se sanam,

Tujhe mile bina ai sanam aayegi chain mere dil ko kaise,
Apne aankhon se behate ashkon ko mein rukaoon kaise,
Tere yaad jo basi hai mere dil mein use bhulaoon kaise,
Dard jo uthi hai mere dil mein use mein mitaoon kaise.

Shrini 'Deewana'

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success