Gazal 'Phir Yad Aaya Hai' Poem by vinay shankar prasad

Gazal 'Phir Yad Aaya Hai'

wo guzra khbshurat phir jamana yad aaya hai
nayan se chhalke aanshu ko chhupana yad aaya hai


badi koshish thi ki us pyar ko unse chhupane ki
dil me uthate hua us dard ko dil se mitane ki
magar dil pe jo chhane laga wo jadu yad aaya hai....
wo guzra khbshurat phir jamana yad aaya hai
nayan se chhalke aanshu ko chhupana yad aaya hai

lata ke us jharokhe se wo chhupke darsh de jana
hamare dil me uthate lahado ko chhan me bujha jana
wo kuchi ka bahana karke aana yad aaya hai....
wo guzra khbshurat phir jamana yad aaya hai
nayan se chhalke aanshu ko chhupana yad aaya hai

wo khilata khubsurat chand nabho ke nyare aangan me
wo wada karna nayano se n bichhurenge us daman me
wo wade ko bhulana aur satana yad aaya hai...
wo guzra khbshurat phir jamana yad aaya hai
nayan se chhalke aanshu ko chhupana yad aaya hai

pahli bar jab wah aai thi sang safar karne ko
najar se jam pilai thi kasam lekar sang marne ko
ubharte pyar nayano se dubona yad aaya hai.....
wo guzra khbshurat phir jamana yad aaya hai
nayan se chhalke aanshu ko chhupana yad aaya hai.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
vinay shankar prasad

vinay shankar prasad

Sain Kaswa, (Muzafffarpur) , Bihar
Close
Error Success