Gaddi Poem by vinay shankar prasad

Gaddi

ye gaddi sath dena
sada sath mere rahna

nitya tu karib rahna
banke habib rahna
banke meri tu jindgi
banke meri tu wandgi
chahe jamana chhode
chahe ye log chhore
ye gaddi sath dena
sada sath mere rahna
tu khubsurat itani
ek apsara ho jitni
tujhko pane ki khatir
raho me bhir hogi
dal ki bharmar hogi
vonto ki dhup hogi
rahen hai lambi chauri
sab me hai paisa-kauri
phir bhi bahaunga main
jo swis shesh thori

ye gaddi sath dena
sada sath mere rahna
jab jeet kar jaunga
delhi ghar basaunga
ghotale bhi karunga
har janch rukwaunga
masti me bhi rahunga
jo chahe main karunga
aane se pahle jag se
vada jo chand ki thi
main usko nibhaunga
n jag ko kuchh dunga
har jan ko lut lunga
main nayay bhi karunga
din-hin ko bhaga dunga
dhan se dhani jo honge
sanrakhan unke honge
esi hi niti hogi
manmani meri hogi
ye gaddi sath dena
sada sath mere rahna.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
1 / 2
vinay shankar prasad

vinay shankar prasad

Sain Kaswa, (Muzafffarpur) , Bihar
Close
Error Success