Ek Nazm Poem by ramesh rai

Ek Nazm

khamoshiyon se door
khamoshiyon k bich
jindagi kyon khamosh rahati hai

ashma khamosh hai
jindagi pharamosh hai
nazmo ka rishaw hai
rooh se chhan chhan kar
tapakti hai bund bund bankar
suraj ki pahli kiran k saath
lati hai bepanah khusiyan

dekhlo ashma se utarta farista
kalam ki syahi bankar
khichta hai taqdeer ka naqsha

taqdeer kab bakhsti hai
duniya k riti riwazo ko
use to aata hai bas kahana
apna hi afsana
dhoop ho ya chhhaon ho
use to aata hai gungunana
bas apna hi gaana

jami par dhhol hai
to aasma pr badal
in dono k beech ek sailab hai
jo dhoondh bankar chhaya hua

Thursday, March 13, 2014
Topic(s) of this poem: love
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success