Ek Bar Apna Kahkar Pukar Deejie Poem by Ashok kumar maurya

Ek Bar Apna Kahkar Pukar Deejie

ek bar apna kahkar pukar deejie

na phul deejie mughe, na har deejie
ek bar apna kah kar pukar deejie

kah rha hai aaj pattha sagar ki lahro se
tut rha hai kan-kan mera tere kahro se
lekar ke apni baho me mughe sweekar keejie
ek bar apna.......................

ab tak mai vichlit tha vichlan ki duniya me
aaj thahar sa gya hai pani jeewn ki nadiya me
chhukar apne adhro se ab aadhar deejiye
ek bar apna....................

chhut gya hai sab kuchh mera tughko pane me
nhi rha vo mja ab jeevan ko jeene me
meri ulghi si jindgi ko ab snwar deejiye
ek bar apna........................

Saturday, December 6, 2014
Topic(s) of this poem: love and pain
COMMENTS OF THE POEM
Malcolm Two 28 November 2017

Nice poem, thanks I like it

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Ashok kumar maurya

Ashok kumar maurya

raebarei uttar pradesh india
Close
Error Success