Dil Ke Tarapne Ka Sabab Mat Poocho Poem by Akhtar Jawad

Dil Ke Tarapne Ka Sabab Mat Poocho

Rating: 5.0


Tum bhi is dil ke tarapne ka sabab poochti ho,
Tum na pooch tumhein ye bat bataen keyun kar,
Aiey meri parda nasheen parde jab tum ho chupi,
Tum hi socho to zara parda uthaen keyun kar.

Tum ne tanhai mein aaina to dekha ho ga,
Tumpe jo guzri who auron pe bhi guzri ho gi,
Khud parasti griftar hui ho tumbhi,
Aur ki aankh to phir aur bhi gahari ho gi.

Tumne sharma ke nigahon ko jhukaya ho ga
Usne kutch aur hi andaz se dekha ho ga,
Phool jaisa tera paikar yeh nazakat yeh nikhar,
Tera har ang nigahon ne nihara ho ga.

Hathon se door ho aankhon se to tum door nahin,
Jispe dil machla use peyar se chooma ho ga,
Tumko mahsoos hua ho ga har ek lamse nazar,
Dil tumhara bhi ghari bhar ko to bahka ho ga.

Pecho kham mein kabhi zulfon ke tiki bhi ho gi,
Tere honton ki halawat bhi to chakhi ho gi,
Teri aankhon ki sharabon mein bhi doobi ho gi,
Tere joban ki baharon se bhi kheli ho gi.

Who nazar shokh hay kutch uska thikana hi nahin,
Jab yeh phisli to koi ang na choota hoga,
Kabhi garden kabhi bahein kabhi rukhsaro labo chashm,
Jane kis kis jagah kambakht ne loota hoga.

Husn ki adulate nayab ko in aankhon ne,
Dil ke tahkhane mein leja ke chupaya ho ga,
Dil to sheeshe se bhi nazuk hay zara socho to,
Usne ye bojh bhi kis dil se uthaya ho ga.

Ab tarapta hay tarapne do sabab mat poocho,
Itni maasoom nahin itni bhi nadan nahin ho,
Itni bholi na bano tumko khabar hay sari,
Mere is dil ke liye itni parishan nahin ho.

(This poem was written by me when I was 21 and I am submitting it after a little editing)

Saturday, June 21, 2014
Topic(s) of this poem: love
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
I wrote so many romantic poems during my youth age and this is one of those poems.
COMMENTS OF THE POEM
Neela Nath Das 21 June 2014

An awesome poem.....................

0 0 Reply
Yasmin Khan 24 June 2014

A well-crafted beautiful poem in Urdu...

0 0 Reply
Kirti Sharma 24 June 2014

Tumne sharma ke nigahon ko jhukaya ho ga Usne kutch aur hi andaz se dekha ho ga, Phool jaisa tera paikar yeh nazakat yeh nikhar, Tera har ang nigahon ne nihara ho ga. lovely...... amazing work! :)

0 0 Reply
Khalid Saifullah 28 December 2014

A beautiful write...................10

0 0 Reply
Khalida Bano Ali 05 July 2014

Ek khoobsoorat nazm, bahot peyai hay

0 0 Reply
Ramesh Rai 28 June 2014

sorry gunahgar ko maaf karta hai.

0 0 Reply
Ramesh Rai 28 June 2014

Dunia ki sabse badi saja hai jisme saja bhognewale hi saja ko maaf karta hai. nice expression sir. regards/

0 0 Reply
Geetha Jayakumar 27 June 2014

Beautiful poem especially written so many years back......Poem filled with romantic flow of words..Loved reading each lines....

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success