Dekha Samundra Ki Laharo Ko Poem by Rashmi Kumari

Dekha Samundra Ki Laharo Ko



dekha maine samundra ki laharo ko aate jate dekha
sarsarati laharo ko maine nachte gaate dekha

laharo ko pani se uthkar bahar aate dekha
jaise ruth gaya ho apno se unko dur jate dekha
kinare pe aakar jab paya sabkuch anjana
fir dheere dheere un laharo ko pani me mil jate dekha

lautate hue unko dusre laharo se takrate dekha
dur ja rahi in laharo ko inko samjhate dekha
apno se dur jakar tum aur nahi kuch paoge
anjani duniya hai laut yahi pe aaoge....

us saant si samundra me maine ek zindagi dekha
dekha maine samundra ki laharo ko aate jate dekha...

COMMENTS OF THE POEM
Zubiya Surti 05 April 2013

Aap ne toh Kamal kar diya dee.Keep writing! Kabhi mere kavya bhi padhe...please

0 0 Reply
Gajanan Mishra 04 April 2013

apno se dur jakar tum aur nahi kuch paoge, anjani duniya hai laut yahi pe aaoge.. kya bat hai Rashmi. You have killed me. I invite you to read my poems and comment.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Rashmi Kumari

Rashmi Kumari

Dhanbad, Jharkhand
Close
Error Success