Bat Karni Mujhe Mushkil Poem by Bahadur Shah

Bat Karni Mujhe Mushkil

Rating: 2.7


bat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi
jaisi ab hai teri mahfil kabhi aisi to na thi

le gaya chin k kaun aj tera sabr-o-qarar
beqarari tujhe ai dil kabhi aisi to na thi

chashm-e-qatil meri dushman thi hamesha lekin
jaise ab ho gai qatil kabhi aisi to na thi

un ki ankhon ne Khuda jane kiya kya jadu
k tabiyat meri mael kabhi aisi to na thi

aks-e-ruKh-e-yar ne kis se hai tujhe chamkaya
tab tujh mein mah-e-kamil kabhi aisi to na thi

kya sabab tu jo bigarta hai 'Zafar' se har bar
khu teri hur-e-shamail kabhi aisi to na thi

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
1 / 8
Bahadur Shah

Bahadur Shah

Dehli / India (Mughal Empire)
Close
Error Success