Khulta Nahin Hai Hal Poem by Bahadur Shah

Khulta Nahin Hai Hal

Rating: 3.0


khulta nahin hai hal kisi par kahe bagair
par dil ki jan lete hain dilbar kahe bagair

main kyunkar kahun tum ao k dil ki kashish se wo
ayenge daure ap mere ghar kahe bagair

kya tab kya majal hamari k bosa len
lab ko tumhare lab se milkar kahe bagair

bedard tu sune na sune lek dard-e-dil
rahta nahin hai ashiq-e-muztar kahe bagair

taqdir k siwa nahin milta kahin se bhi
dilawata ai 'Zafar' hai muqaddar kahe bagair

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Bahadur Shah

Bahadur Shah

Dehli / India (Mughal Empire)
Close
Error Success