Bachpan Poem by NEHA UPADHYAY

Bachpan

Rating: 5.0


Kitna madhur kitna pyara hota hai bachpan,
Har bandhan se door hota hai bachpan,
Bhedbhao karna janta nahi bachpan,
Pyar ke siva kuch mangta nahi bachpan,
Geli mitti sa komal hota hai bachpan,
Sikhai gayi har baat sanjota hai bachpan,
Apna paraya pehcanta nahi bachpan,
Khud ko sabka sabko apna manta yehi bachpan,
Maa ki dant se siskiyun bhara hai yeh bachpan,
Pita ke pyar ki thapkiyun se saja hai yeh bachpan,
Swachand hai apne doston ko chunne ko yeh bachpan,
Aazad hai asman me udne ko yeh bachpan,
Aaj akele me baithoon toh yaad ata hai voh bachpan,
Meri masumiyat fir se lautata hai voh bachpan,
Kash sada bana rehta yeh nanha bachpan,
Ab bas yadoon me hai voh pyara bachpan.

COMMENTS OF THE POEM
Ramesh Rai 23 March 2012

Ah kya baat hai. mujhe bhi hindi kavita post karne ka dil karta hai. kavita usi ke liye sambhav hai jo jinda hai. jiske paas emotion hai, feelings hai, prerna hai. baki sab to bejaan hai. good write. keep it up.

0 0 Reply
mohsin amin khan 12 May 2010

wow wow hay really wonderfull really this stage you have described in a powerfull way yeh dowlat be lay loo by jagjit singh it is more than that i loved this poem i miss my chidlhood more by this poem

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success