Agar Na Hote Bachche Toh Fir (Hindi) Poem by Veer Dhiman

Agar Na Hote Bachche Toh Fir (Hindi)



Agar na hote bachche toh fir
Bachpan ko nibhaata kaun?

Agar na hote bachche toh fir
Ghar ka 'mann' kehlata kaun?

Agar na hote bachche toh fir
Khil-khilkar muskata kaun?

Agar na hote bachche toh fir
Idhar-udhar chehkata kaun?

Agar na hote bachche toh fir
Stree ko 'Maa' banata kaun?

Agar na hote bachche toh fir
Purush ko 'Pita' bulata kaun?

Agar na hote bachche toh fir
'Maa' ka 'laadla' kehlata kaun?

Agar na hote bachche toh fir
'Pita' ki 'pari' kehlata kaun?

Agar na hote bachche toh fir
Ro-rokar school ko jata kaun?

Agar na hote bachche toh fir
Copy par pen chalata kaun?

Agar na hote bachche toh fir
Einstein ban jata kaun?

Agar na hote bachche toh fir
Maasum kehlata kaun?

Agar na hote bachche toh fir
Peshawar mein goli khata kaun?

Peshawar ke hatyaaron, na hote bachche toh fir
Shartein tumhari manwata kaun?

Agar na hote bachche toh fir
Choti kabrein bhar jata kaun?

Agar na hote bachche toh fir
Khaalipan bhar pata kaun?

Aao Peshawar ki barbarta par
Hum sab karein do minute ka maun
Hum sab karein do minute ka maun....

Monday, September 19, 2016
Topic(s) of this poem: sorrows
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
This is the tribute to 100 of children martyrdom in Peshawar, Pakistan in (A.P.S. School) ....
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success